

Jhumka gira re..., haaye
Jhumka gira re Bareli ke baazar mein
Jhumka gira re Bareli ke baazar mein
Jhumka gira, jhumka gira, jumka gira
Haaye, haaye, haaye
Jhumka gira re Bareli ke baazar mein
Jhumka gira re...
Saiyaan aaye nain jhukaaye ghar mein chori-chori
Saiyaan aaye nain jhukaaye ghar mein chori-chori
Bole, "Jhumka main pehna doon, aaja, baanki chhori"
Main boli, "Na-na-na, baba, na kar jora-jori"
Laakh chhudaya, saiyaan ne kalaiya naahi chhodi
Haaye, kalaiya naahi chhodi
Phir kya hua?
Phir? Hmph
Phir jhumka gira re hum dono ke takraar mein
Jhumka gira re Bareli ke baazar mein
Jhumka gira re...
Ghar ki chhat pe main khadi, gali mein dilbar-jaani
Ghar ki chhat pe main khadi, gali mein dilbar-jaani
Has ke bole, "Neeche aa, ab neeche aa, deewani"
"Ya angoothi phenk apni ya chhalla de nishaani"
Ghar ki chhat pe khade-khade main hui sharam se paani
Main hui sharam se paani
Phir kya hua?
Daiya
Phir jhumka gira re hum dono ke is pyaar mein
Jhumka gira re Bareli ke baazar mein
Jhumka gira re...
Bagiya mein balma ne meri lat uljhi suljaayi
Bagiya mein balma ne meri lat uljhi suljaayi
Thaam ke aanchal bole, "Gori, tu mere mann bhaayi"
Aankh jhuka ke kuchh na boli, kuchh na boli, haaye-haaye
Aankh jhuka ke kuchh na boli, dheere se muskaayi
Saiyaan ne jab chheda mujhko, ho gayi haatha-paayi
Hoy, ho gayi haatha-paayi
To phir kya hua?
Hahahaha
Phir jhumka gira re, main kya boloon bekaar mein
Jhumka gira re Bareli ke baazar mein
Jhumka-
Lähde: LRCLIB
Ei kuuntelijatietoja
Ei palvelintietoja
Ei viimeaikaisia toistoja