

Saahiba, aaye ghar kahe na? Aise to sataaye na
Dekhun tujhko, chain aata hai
Saahiba, neende-veende aaye na, raatein kaati jaaye na
Tera hi khyaal din-rain aata hai
Saahiba, samundar meri aankhon mein reh gaye
Hum aate-aate, jaana, teri yaadon mein reh gaye
Ye palken gawaahi hain, hum raato mein reh gaye
Jo vaade kiye saare bas baaton mein reh gaye
Baaton-baaton mein hi, khwaabon-khwaabon mein hi mere qareeb hai tu
Teri talab mujhko, teri talab, jaana, ho tu kabhi rub-ru
Shor-sharaba jo seene mein hai mere, kaise bayan main karun?
Haal jo mera hai, main kis ko bataun?
Mere saahiba, dil na kiraaye ka, thoda to sambhalo na
Naazuk hai ye, toot jaata hai
Saahiba, neende-veende aaye na, raatein kaati jaaye na
Tera hi khyaal din-rain aata hai
Kaisi bhala shab hogi wo sang jo tere dhalti hai?
Dil ko koi khwaahish nahin, teri kami khalti hai
Aaram na ab aankhon ko, khwaab bhi na badalti hai
Dil ko koi khwaahish nahin, teri kami, jaana, khalti hai
Saahiba, tu hi mera aaina, haathon mein bhi mere, haan
Tera hi naseeb aata hai
Saahiba, neende-veende aaye na, raatein kaati jaaye na
Tera hi khyaal din-rain aata hai
Saahiba, neende-veende aaye na, raatein kaati jaaye na
Tera hi khyaal din-rain aata hai
Источник: LRCLIB