

(Ye kaisi fitrat hai, jaaniya?)
(Mujhe to hairat hai, jaaniya)
(Tu pehle meri hasrat tha, jaaniya)
(Tu ab meri nafrat hai, jaaniya)
Mujhko ab hosh raha na, pal-pal jaise mar jaana
Aur karein na hum aitraaz bhi
Kar ke barbaad hai rakha, phir bhi na yaad hai rakha
Aur rahein na hum naraaz bhi
Tu zakhm de mujhe
Chaah ke bhi bolun main na “see”
Haaye, kya pata, itna gham deke
Khush rehne ki salah doge tum
Akhiyaan na soye, yaara, roye, mera toota hai dil
Aisa haara ki dobara jeena hua mushkil
Akhiyaan na soye, yaara, roye, mera toota hai dil
Aisa haara ki dobara jeena hua mushkil
Ye kaisi fitrat hai, jaaniya?
Mujhe to hairat hai, jaaniya (mujhe to hairat hai, jaaniya)
Tu pehle meri hasrat tha, jaaniya
Tu ab meri nafrat hai, jaaniya
Ye dard jo tere bhulaaye bhi na jaayein
Chhupa bhi sakun na, bataaye bhi na jaayein
Be-jurm sazaayein bahut hi sataayein
Ki dil kare, haaye, hum abhi mar jaayein
Bebasi dil mein kitni hai, dekho, yaara
Haaye, kya hua, kya pata, jaanun na main
Ishq mera ye kaise zaya ho gaya
Akhiyaan na soye, yaara, roye, mera toota hai dil
Aisa haara ki dobara jeena hua mushkil
Akhiyaan na soye, yaara, roye, mera toota hai dil
Aisa haara ki dobara jeena hua mushkil
Barbaadiyon ka meri jaanib aane ki jo wajah bataun
Tu hi hai naubat, tu hi museebat, tu hi qayamat, jaaniya
Aashiq duniya-bhar ke saare sab kuch apna ishq mein haare
Fana hue, tabah hue, bikhar gaye hain, jaaniya
Barbaadiyon ka meri jaanib aane ki jo wajah bataun (ye ishq barbaad karega)
Tu hi hai naubat, tu hi museebat, tu hi qayamat, jaaniya (ye ilm tha mujhe)
Aashiq duniya-bhar ke saare sab kuch apna ishq mein haare (par is qadar kar dega)
Fana hue, tabah hue, bikhar gaye hain, jaaniya (ye andaaza na tha)
Kilde: LRCLIB
Ingen lytterdata
Ingen serverdata
Ingen nylige afspilninger